![Devil Ishq[hindi]](https://pbcdn.aoneroom.com/image/2026/02/06/a681920eb81af476b3aa56507c0e7fa1.png)
Devil Ishq[hindi]
Tshedy__m
Description
Virat Shekhawat, Dehradun ka ek successful businessman, jiske paas paisa tha, shohrat thi, lekin zindagi mein ek ajeeb si pareshani bhi thi. Usse ladkiyon se allergy thi. Jab bhi koi ladki uske paas aati, uski saans ghutne lagti aur bechaini badh jati. 26 saal ki umar tak usne kisi ladki ko chhua tak nahi tha. Par, ek subah uski gaadi ka accident hua aur uski mulaqat hui Tanya se, ek aisi ladki jo uski allergy ki dawa ban gayi. Tanya ne Virat ko sirf theek hi nahi kiya, balki uske dil ka hissa ban gayi. Lekin Tanya ki apni kahani bhi kam takleef bhari nahi thi. Uska janm sirf isliye hua tha taki woh apne bhai Sameer ko bone marrow dekar uski zindagi bacha sake. Virat pehli baar kisi ladki ke itne kareeb tha aur Tanya ko apni zindagi mein shamil karna chahta tha, lekin unke beech rukawat ban kar khadi thi Maya, kuch galatfaimiyan, aur Tanya ki maa jo Tanya ke hone wale bachche ko janm se pehle hi khatam kar dena chahti thi. Ab sawal yeh hai ki kya Tanya aur Virat ek ho paayenge, kya Virat ki purani bimari wapas aa jaayegi, aur agar aayi to kya Tanya uska saath de paayegi?