Ajab Jamai Ki Gazab Kahani[hindi]
Ajab Jamai Ki Gazab Kahani[hindi]

Ajab Jamai Ki Gazab Kahani[hindi]

Bor

20 tracks
Modern Romance
Play

Description

Naman ek aam sa ladka tha jo ek receptionist ki naukri karta tha. Uski zindagi tab badli jab woh Agrawal Group of Industry ki eklauti waris Latika ke pyaar mein pad gaya. Latika ke zidd ke saamne haar kar Naman ne usse shaadi to kar li, lekin uski apni zindagi pareshaniyon se ghiri rahi. Naman ko apni asli maa ke baare mein kuch pata nahi tha aur jis Anjana ne usse god liya tha, woh uske liye ek mayajaal jaisi thi. Shaadi ke baad ghar-jamai ban kar aate hi Naman ko Latika ki chachi-saas Anita ne apni zindagi ka naya shikaar bana liya, jo har din uska jeena aur mushkil kar deti. Zillat aur majbooriyon ke beech jab Naman apni zindagi sambhal hi raha tha, tab ek din uski mulaqat ek aise shakhs se hui jisne uski poori zindagi palat di. Us shakhs ne bataya ki Naman ek Arabpati businessman ka pota hai, lekin daulat milne ke baad bhi Naman ki zindagi khushiyon se zyada dard se bhar gayi. Latika, jise Naman junoon ki hadd tak chahta tha, uske saath hote hue bhi usse door ho gayi. Isi beech Anita se badla lene ki chahat Naman ki zindagi mein ek bade dushman ko le aayi. Ab sawaal yeh hai ki kya Naman apni chachi-saas ko jail ki salakhon ke peeche pahunchakar sukoon paayega? Kaun hai woh dushman jo uske khilaf khada ho gaya? Naman ki asli maa ka raaz kya hai aur god li hui maa ke saath kaun sa raaz juda hai, aur sabse badi baat, Latika ke saath hote hue bhi Naman aakhir akela kyun hai?

Uploader

maddie_drop

maddie_drop

Ajab Jamai Ki Gazab Kahani[hindi] - Listen Free | WowFM